KUCH PAL A REAL LOVE
STORY
kuch
pal lagta hai ki jindagi bahut badi bojh hai jisko gujarane k liye ek sachhe sathi k sath
hona bahut zaruri hai .
or sayad vo sathi bhi maine dund liya tha lekin
apne OR apne us sathi se bahut darta bhi tha aaj date 12 aguste 2007
jabki vo humare pass nahi hai hai lekin fir bhi lagata tha ki jaise vo
humare ass-pass yahi kahi hai . lekin aaj aisi kya vajay ho sakti hai kya
majburihogi ki aunki call nahi ayi ………………meri jindgi meri janu hai …janu ….ha
mai pyare se usko janu pukarta hun….or vo mujhko pyar se pagal bulti
hai…ha vo hum se bahut pyar karti hai.
Or kare bhi kiyun nahi vo mujh milti bhi to nahi
or jab milti hai …… bar –bar khane ki jid karna ……………main pareshan hokar bolta
ki ab lagata aapko mera ana achaa nahi laga hai or aap isliiye humko itna
pareshan kar rahe ho main jab bhi vahana se jane uthata vo mujhko to vo mujhko
jor se pakad kar vapas apne pass baita lena mano meri sari thakan tention
pareshani kahi door bhag gayi main apne aapko itna tention free feel karta or
mera sara gussa shant kar deti hai ……………..
Lekin jab vo naraj hoti hai to mano kayamat aa
gayi ho na hi mujhse baat karna na hi milana ……bahut satana …rulana …lekin
vo meri ankh mai ashuon ko nahi dekh pati or mere anshuon ko dekh kar turant
man jati hai..
Or bolti k aaj k baadaapse kabhi bhi naraz
nahi honge………………….are yaar ruthna mana to chalta rahta hai kabhi kabhi main bhi
usase ruth jata tha …or call ko attend nahi karta thaw o baar –bar mere pass
sorry k sms send karti lekin main fir bhi koi reply nahi karta tha
…lekin jab medam ka worning sms ata tab to mano meri jaan hi nikal jati hai
(main apna sim tod kar faek doungi phone off kar lungi humesa k liye city se
bahar chali jaungi humesha k liye ) ab lo ji ulta humko hi manana
padata tha …
Wo mera bahut kayal rakhati hai or or mera har
mod har problem main mere satah deti hai or mujhko motivate karti hai kabhi bhi
humko harne nahi deti hai.
Ajj main unko bahut miss kar rha hun or ho
kiyun na kal se medam ne call nahi ki hai or nah al chal mila ………….mujhko
lagata hai …………….
Vo mujhe satta rahi hai or ho kiyun na unko hak
hai vo humako kisi bhi tarha satta sakte hai ..
Aaj jab raat main unki caal ayi to maiane bhi
sikayton ek chodi list lekar unse baat karni suru kar di
Lekin unse baat karte –karte mera sara gussa mano
kahi gayab sa ho gaya tha or ho kiyun na yahi to ek khaas ada hai unme
Main chahe jitna bhi naraj kiyun nah hun lekin
jab main unki awaz sun leta to mera sara ka sara gusa chhu mantar ho jata hai
…jaise lagata ki un se kabhi naraj tha hi nahi ..h h ha ha…vo jadugad hai
pagal kahi ki bahut jagadti hai or bahut satati hai lekin mujh par pyar bhi
bahut jatati hai . meri janu ..
Ajj achanak hi vo apne ghar aa gayi or mujhse
milane ki jid karne lagi lekin maine mana kar diya tha kiyun ki us waqt bahut
jyada time ho gaya tha ………vo mujh pe naraj hone lagi or boli ki main aapse
milne k liye itni door aa sakti hun to aap kiyun nahi aa sakte hai unkii
bahut jyada narajagi or gussa dekh kar unki jid pe mujhe unse milane jana pada
……akhir ho kiyun na unse milne ko bekarar to main bhi tha na or apne ruthe huye
sanam ko manana bhi to tha or main unse milane k liye unke ghar pe pahuch gya
vo mujhe dekh kr chouk gayi or kuch bavati gussa dikhane lagi lekin hum har
manne walon main nahi the akhir main apne ruthe sanam ko manane main kamyab ho
gya … or hum donon ne ek dusre se bahut sari batain ki banten karte
–karte time ka kuch pata hi nahi chala ki humko aye huye kitna time ho gaya
tha.
Maine kaha ki ab humko jana chahiye time kafi ho
chukka hai to janab gusse main farmate hai ki ha ha jaeiye kisi ko time diya
hoga vo aaka itezaar kar rahi hogimaine to aapka samay kharab kar diya hai na
hume to aapko milane ke liye bulana hi nahi chahiye tha or ek bar fir se humare
spyare sanam hum se naraj ho gayi ……..fir kya tha hume medam ko fir
manane main mujhko ek ghanta laga lekin bahut si kosis karne k bad man
gayi.
Ab jab maine kaha ki ab humko jana chahiye time bakaie
main jyada ho gaya hai to medam pyar se bar-bar ek hi baat bolti hai ki
aapko bhejne ka dil nahi ho raha hai aaj na jaiye yahi ruk jaiye ……’lekn humko
bhi ghar wapas jana tha isliye hum lout aye or maine kaha tha ki vo hum ko caal
jaror kar le is liye vo aksar humko call kar lete hai ;
“ In palkon ko aapka intezaar rahta hai,
Aapke liye dil bekrar rahta hai.
Ab aa hi jaiye ruthe sanam ,
Is sakks ko har pal aapka hi ask dikhta hai.
Kisi se beintiha isqe saja bhi ban jata hai
,or sayad aaj vahi mere satg ho raha hai jab sare din ke itezar ke baad rat tak
unki call nahi ayi to main bahut bechien ho gaya or mera dil unki awaz sunane
ko baichen ho gaya .or akhir kar humane unko call ki lekin meri pahali hi ring
pe phone ateend kr leti thi lekin aaj main pichale 1 ghante se call pe call kr
raha th lekin koi javab nahi mila mere dil dil bahut bure bure khayal ane
lage tabi unki call agyi lekin mera gussa dekh kar vo humse gusse
main boli aap humko itni mobaat na karo mujhe bhool jao
Akhir kya vajay thi ki unka koi respose nahi mil
raha tha …………………………
Meri to kuch samjh main hi nahi aa raha tha akhir
mujhse aisi kya galti hui hai ki unohne mujhse ye sabd itani ashani se
kah diya lekin unke in sabdo ka mere dil pe kya ashar raha hoga mere lakh
samjhane par bhi nahi mane ………………………………….main ab puri tarah se tut gaya tha
kuch bhi samajh main nahi aa raha hai ki mai kya karoun…akhir main apne phone
ko off kar ke tute huye dil ko lekar sone ki kosis karne laga …
Maine dusre din unko call kar ke manne ki kosis
ki to hum boli ki ye pyar ka mashka kisi or ko lagana b main kya karuon yar a
bunko mera pyar bhi dikhawa lagane laga .
Lekin main naraz nahi huon kiyun pyar to
humane kiya hai wo bechari kya jane ki payar kya hota hai . lekin mujhko ab bhi
wisvash hai ki mai unko mana lunga or wo mere pyare ko jaror samjhenge
.lekin unko manana itna ashan bhi nahi tha vo ajj himse bahut hi jyada
naraj hai or humse milane ko bhi taiyar nahi hai lekin humane unko milne
ke liye mana hi liya or vo humse milna ko taiyar ho gaye .
Akhir kaar vo din bhi aa gaya jis din humko
milana tha aaj ka din to humane unke naam kar diya tha or main unka besabbri se
intezar kar raha tha kiun ki mujhko unke wade par bahut yakin hai .
Pure din k intezaar k baad janab sham m mujhse
milne ate hai masha-allahha ajj unko itne dino baad dejha vo kya lag rahe the
kya?noor hai aunke chehre par,
Mujhe to lag rha hai ki vo din par din or hi
khobsurat hote ja rahe hai .
Kheir ab jab medam milane ayi hai to thodi
narajgi humne bhi dikhaior kaha ki akhir aaj aapko humare liye time mil hi gaya
hai .chaliye aiye khana kha lijiye kiyun ki us waqt khane ka time ho chukka tha
or main khana kha raha thaw o akar meri samne wali chair par baith gayi.
Lekin khaana nahii khaya kiyun vo boli ki unko
muhha hai lekin mere bar-bar force karne par mere hath se nivala
kha liya main itne main hi bahut khush tha ki unohone meri bat to man li
.
Fir hum donon ne bahut sari masti ki or ek dusre
se bahut sari baat ki or aaj humane apne bahut sare kaam bhi unhi se karva liya
jaise kapade sahi kar k almadi main rakhna bistar sahi karna or ajj vo bhi kafi
enjoy kar rahe the kiyunki huma donon ek lambe intezar k bad aaj ek sath main
the.
Hum dono ne bahut sari baten ki or unke haath ki
chai ki bhi maza liya jo ki unohone mere liye banayi thi .hum dono ek dusre
main itana jyada busy ho gaye ki time ka kuch pata hi nahi chala ki kab
andhera ho gaya .achanak unohone hum kaha ki ab humko chala chahiye ,ye sunkar
humako laga ki mano kisi ne meri jaan hum se maang li ho
Lekin hum dono kar bhi kya sakte the akhir unko
bhi to ghar jana tha or fir hum unko drof karne sath main chal diye is bahane
kuch or pal humko unse baat karne ko kuch pal mil gaye .
Ushi raat hum log sath main ghumane gaye or khoob
maza aya or kafi zyada time ek sath bitaya jab hum unke pass se vapas aa rahe
the to unka pyar ,tadap,judai,unki ankho mai dekh raha tha.
Kiyun ki main janta tha ki vo bhi mujhse door
nahi jana chahati hai.wo humse humesha kahti hai ki hum aapse door nahi rah
sakte hai or hum bhi un se door rah kar nahi rah pate hai mujhe lagata hai ki
humko to unke bina ek pal bhi nahi rah sakte hai unke bina hum ji hi nahi sakte
hai .
Lekin jindgi to sabke liye jina apne liye family
k liye unke liye or vo bhi is baat par mera sath deti hai or wo kabhi meri
family mettar main enter fair nahi karti hai.or humko bhi ghar vvapas ana tha
sayad main bhi unke pass se lout ane baad mayus udash anjana sa ho kar ghar lout
aya tha humko unki yadon ne itna satya ki humara dil unse baat karne ka hone
laga to bas pyar main majboor dill time kahan dekhta hai maine raat ko hi unke
paas call kar li or sayad vo bhi hume yaad kar rahi thi tabhi to vo ittni raat
ko bhi jag rahi thi kiyunki maine unse na sone ki wajay puchi to wo boli ki
aapko yaad kar rahe the .is bich hum lag bhag 2-3 ghante batein karte – karte
kab soye or subaha kab hui hume kuch pata hi nahi chala .
Jab maa ne subaha pooja ghar min ghanti bajayi to
meri ankha khuli to dekha ki sabera ho chukka tha or ha mujhe yaad aya ki aaj
to medam ko bhi apne gaoun mai vapas jana hai mera dil kart ha ki vo jane se
pahle ek barr hum se baat zaror kar le or kabhi-kabhi dil ki chaht poori ho
jati hai .
Or akshar mere sath aisa hua hai ki jab nai unko
jyada miss karta to unki call ya vo khud mujhse milne jaror ati hai.
Or ajj subah bhi kuch aisa hi hua main unhe miss
kar raha tha or unki call aa gayi unki call dekhte hi mere chehare par ek
alag hi tazgi bhari khusi ki lahar si chha gayi.
Maine jaise hi call ricived ki udhar se unki
mithi si awaz good morning ki dhun ek pyari si haste huye andaz main sunai di
maine bhi muskarte huye sabdon main unehe morning wiss kiya .
Or iske baad humane phone kaat diya ,or apne
office jane ki taiyari karne laga or apne kaam busy ho gaya udhar
kaam karte karte –karte kab dophar ho gayi pata hi chala . or jab unki
dophar main call ayi to hum samajh gaye ki vo apne gaoun pahuch gayi hai lekin
main busy isliye jyada baat nahi kar paye lekin raat ko baat karne ka vaada
karte huye maine phone call ko disconnect kar diya ,
Maine apna official work jaldi – jaldi khatma
karne laga kiyun mujhko baat karne ka man ho raha tha isliye main kam ko jaldi
khatm kar ke ghar aya or ghar pe pahuchte hi maa ko bola ki maa diner karte hai
bahut joor bhookh lagi hai fir hum sabhi log diner kar rahe the tabhi medam ki
call a gayi tabhi maine apne phone ko silent mode kar diya or diner ko bahut
jaldi samapt kar ke kisi taraha bahana bana kr chhat pe chala gaya or fir medam
ko call kiya kiya medam ne call atten karte hi puchha ki itani der se call kar
rahe the kahan the to bataya ki diner kar rahe the isi douran lagbhag hum log
lagbhag 2-3 ghante tak baat karte rahe
Or tabhi maine pucha ki ab aap lakhimpur kab
aouge to medam ne bataya ki vo sayad ab diwali pe aye lekin diwali ke to abhi
bahut din the lekin ab hum ko diwali tak ka intezar karana tha .
Is daouran hum longo roz baate ho jati thi lekin
agar unka didaar ho jata tha tab alag hi baat thi .
Or intezaar karte –karte diwali bhi aa jati hai
jiska humko besbari se intezaar tha humne diwali ki raat ko 9 baje unko call ki
or baat karne laga lekin wo lakhimpur nahi aye the is baat se mera dil kafi
udash ho gaya tha,
Kiyun main chahta tha ki ye diwali main unke sath
masti k sath manata lekin unke ghar walon ne unko yaha ane ki parmision nahi
diya hum dono jyada der tak baat nahi kar paye the kiyunki diwali ke karan baar
–baar diwali ki badhai dene k liye family walon ki call aa rahi is liye hum
dono ne ek dusare ko wiss kiya or phone ko disconnect kar diya /
Or fir hun or mummy-papa ne ek sath patakhe
jalaye or baad main diner k liye baith gaye aaj diner par maine apne dost
ko bhi sath main diner k liye bola tha isliye vo bhi aa chukka tha fir
longo ne sath maine diner kiya or maa k haath ki bahut hi swadist kheer khayi
or ab hum dono ne fir se patake jalaye ,or baad hum dono bahar ghumane nikal
gaye .
Hum dono ghumane mai itane mast ho gaye ki pata
hi chala ki kab raat ke 12 baj gaye itani raat ho jane ki vajay main apane dost
ko ghar chcodane ghar chala jata hun or sath hi main madem ka number bhi
dail kr raha tha lekin unka number sitch off aa raha tha .main apne dost ko
chhod kar apne ghar aa raha tha ki tabhi mujhko ek bahut bada jhatka sa laga ye
kya tha main koi sapana to nahi dekh raha tha ya fir mujhe koi dhokha to nahi
ho raha hai ,
Kiyun abhi kuch ghabte pahle hi to maine medam se
baat ki tab to vo apne faam house pe the lekin itni jaldi or
itni raat main kaise aa gayi ,ab maine kuch bhi soch nahi pa raha tha .lekin
maine apne dost ko aaj bahut manata hun kiyunki uski vajay se hi mujhkoo unki
taraf se ana pada tha .
Main turat unke ghar jata hun or fir huma sab ne
milkar khoob saari masti ki sath main patake jalaye or unse milkar khoob sari
baten ki ,or baad main maine unke achanak lakhimpur ane ki bajay pata chali
.lekin aaj ki diwali mere liye bahut achhi thi kiyun ki humane pahali baar
medam k sath patakhe jalye or baten ki …..
“ Kisi ke sapane kisi ke armaan ban jaye
Kisiki hanshi kisi ki muskaan ban jaye ,
Bepanah mohabbat kahte hai isi ko ,
Jab kisi ki sanas kisi ki jaan ban jaye .
Or fir humane unke sath fir se unke ghar pe diner
kiya or vapas lout aye ,aaj humko ghar ate-ate kafi der ho gayi thi .
Lekin maine mummy or papa se bol diya ki maine
dost ko chhodne uske ghar chala gaya tha ,
Or apne kapade change karne k baad apne room main
aa gaya or apni jaanu ko call ki or ab hum phone pr banten karne lage or baat
karte-karte pata hi chala ki hum dono kab so gaye
Abhi subha k 5 baje unki call fir ati hai to mai
apna phone lekar chupchap chhat pe chala gaya subha unki awaz sunana mujhko
bahut pasahnd hai
Fir huma long baat kare lagte hai or milane ki
planning karte hai kiyun ki unko aaj hi apne faam haouse pe vapas jana
tha ,vo bole ki agar vo vapas nahi gaye to jaroor milenge hum dono baaten
kare k eke baad main niche aa gaya or apne ghar k kaam lag gaya ,
Fir unki call ati hai ki vo ghar pe hi hai vapas
nahi gayi hai ye sunkar hume bahut achha laga fir kyat ha main jaldi taiyar
hokar unse milane uanke ghar chala gaya or lagbhag 2-3 ghante unke pass raha
khoob sari bante ki or unke haath ki bani huyi chai ka maza liya or baad mai
maine apne ghar laout aya tha,
Or vo baad main apne gaoun laout gayi or ab hum
logon mainkabhi kabhi baat ho jati hai kiyun ki unki maa ko unka phone pe baat
karna bilkul pasand nahi hai,
Isliye vo maa ki nazar se bacha kar mujhko call
kar leti hai ab to bas kuch pal banten ho jati hai bas yahi meri jindgi
hai……………….?